Khamosh chehre par
Hazaro pehre hote hai
Hasti aakhon me bhi
Zakhm gehre hote hai
Aankhen padho aur jaano
Raza kya hai
Har baat lafzon se bayan ho to
Maza kya hai
Kuch adhura sa tha
Jo pura hua nahi
Koi mera bhi tha
Jo kabhi mera hua nahi
Ek chand tha mera jo badalon
Mein kho gaya,
Humne badal hatane ka intezaar
Kiya,
Toh woh chand kisi aur ka hogya
Agar tera aana sach tha to chale jaana kyun nahi lagta,
Pass nahi hai mare aaj vo par door bhi nahi lagta
Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum
Aapko bhula na sakenge.
Bahut khaas hai wo
Shaks mere liye,
Fir bhi wo mera dil
Dukhata hai,
Sabke liye waqt hai uske paas,
Bas mujh se hi dooriya banata hai.
Udaas hu, par tujhse naraz nhi..
Tere dil me hu, par tere paas nhi..
Jhoot kahu, to sb kuch h mere pass..
Or sach kahu, to tere siwa kuch khaas nhi..
Teri yaadon ko pasand aa gyi meri aankhon ki nami
Mein hasna bhi chahu toh rula deti hai teri kami..
Lagta hai aaj zindagi khafa hai,
Chaliye chhodiye konsi pehli dafa hai
Khuda bhi khoob aazmata hai
Itni choti umar mai kya ya sikhata hain
Ehsaas kara deti hai rooh
Jinki baatein nahi hoti,
Ishq wo bhi karte hain
Jinki mulaqatein nahi hoti..
Kuch dil ki majburi thi
Kuch kismat ke maare thy
Ab tumko kya bataya janab
Hum to apno se haare the
Badle badle se lagte
Ho kya baat ho gyi..
Shikayat mujhse hai ya
Kisi aur se mulaqat ho gyi
Bura nahi hu mai
Meri bhi kuch kahani hai,
Yeh jo badla sa lagta hu
Apno ki he meherbani hai
Hath toh wo shuru se ayi thi,
Mila toh usey bachpan se kuch nhi tha,
Magar aj jo wo khone ja rhi thi
Uske baad usey jeena bhi tha
Udaasi or khamoshi bhari ek
Shaam aayegi,
Meri ek tasveer rakh lena
Tumhare kaam aayegi
Naa raston ne saath diya
Na manzil ne intezaar kiya..
Mein kya likhu apni zindagi par,
Mere saath toh umeedon ne bhi mazaak kiya
Yaad nahi kya kya dekha tha
Saare manzar bhool gaye,
Tumhari galiyon se jab guzre
Apna hi ghar bhool gaye